Shab e Barat ki fazeelat ki waja kya hai

Shab e Barat ki fazeelat ki waja kya hai

Is raat ki fazeelat be buniyad nahi

Shab e barat ki ehmiyat be buniyad nahi:

Lekin waqia ye hai ke shab barat ke baare mai ye kehna bilkul galat hai ke is ki koi fazeelat hadees se sabit nahi, haqiqat ye hai ke 10 sahaba karam Razoon Allah Ta’aala Aleem Ajmaeen se ahadees marwi hain, Jin mai nabi kareem Peace Be Upon Him ne is raat ki fazeelat bayan farmai, In mai se baaz ahadees sanad ke aitbar se beshak kuch kamzor hain, aur in ahadees ke kamzor hone ki waja se baaz ulmaa ne ye keh dia ke is raat ki fazeelat be asal hai, lekin Hazrat Mohdseen aur Faqhaa ka ye faisla hai agar ek riwayat sanad ke aitbar se kamzor ho, lekin is ki taaid bohot si ahadees se hojae to is ki kamzori door hojati hai, aur jesa ke mai ne garz kia ke 10 sahaba e karam se is ki fazeelat mai riwayat mojood hain. Lehaza jis raat ki fazilat mai 10 sahaba e karam se riwayat marwi hon is ko be bunyad aur be asal kehna bilkul galat hai.

Shab e barat ki fazeelat hadees ki roshni mai

>> Shab e Barat ki Fazeelat aur Khair Ul Qaroon

Leave a Comment