Beetroot (Chukandar) Juice Health Benefits in Urdu

23 / 100

Beetroot (Chukandar) Juice Health Benefits in Urdu

Beetroot Juice Benefits in Urdu

Beetroot Meaning in Urdu:

beetroot چقندر

 

Beetroot Benefits in Urdu and Hindi:

  • Beetroot bhi dosre phal aur sabziyon ki tarah qudrat ka anmol tohfa he.
  • Beetroot juice bhi kai tibbi fawaid ka hamil he.
  • Ye bhi aur phalon aur sabziyon ki tarah qabz door karta he.
  • Taza beetroot juice ke rozana ke istemal se cancer se bacha ja sakta he.
  • Chukandar ke istemal se cancer aur diabetese ke khilaf mudafati quawat barhti he.
  • Beetroot juice ke rozana ke istemal se gurde aur masane ki pathri nikal sakti he.
  • Chukandar se gurde aur masane ka warm bhi door ho jata he.
  • Beetroot juice yarqan ke marz men bhi mufeed he.
  • Beetroot juice gathya ke marz men bhi mufeed he bashrtye ke diabetes na hon.
  • Research se ye baat sabit hui he ke beetroot juice ke baqaida istemal se blood pressure ko normal rakha ja sakta he.
  • Ye juice dil ke dore se mehfooz rakhta he.
  • Khoon se fasid madon ko nikalta he.
  • Jild ki rangat ko nikharta he.
  • Dimaghi salahyaton men izafa karta he aur yadasht ko behtar banata he.
  • Baalon ke jumla-e-amraz men boht mufeed he.
  • Khoon ki kami ko poora karta he.fori tawanai bakhshta he.chiknai ko jism se khatam karta he aur motapa khatam karta he.
  • Beetroot juice khoon ki rawani ko behtar banata he.

Leave a Comment