Sesame Seeds (Til) Health Benefits in Urdu

67 / 100

Sesame Seeds (Til) Health Benefits in Urdu

Sesame Seeds in Urdu

Sesame Seeds in Urdu:

  • Sesame seeds ko urdu mai til kehte hain aur chote chote safed danon ki shakal ke hote hen.
  • Sesame seeds ka mizaj garam tar he.
  • Sesame seeds apne zaiqe aur roghan ki wajah se ek khush zaiqa ghiza he.
  • Sesame seeds ki aamezish ki wajah se doosri ghizaon ka zaiqa barh jata he.
  • Sesame seeds aisi ghiza he jo gosht jese khuas rakhti he.
  • Dar haqiqat sesame seeds taqat hasil karne aur umar barhane ka behetreen zarya he.
  • Khush qismati se sesame seeds hamare mulk men aam paya jata he.
  • Sesame seeds  purane zamane men pehelwan taqat barhane ke liye istemal karte the.
  • Mehnat kashon ki mazbooti aur dehaat ke baashindon ki darazi-e-umar ka raaz sesame seeds jesi mamoli si cheez men poshida he.
  • Sesame seeds men lesi then ki wafir miqdar mojood hoti he.
  • Lesi then ek phosphoras aamez chiknai he jo baafton aur patthon ki sehat ke liye nehayat zaruri he.
  • Jo log gosht nahi khate unhen sesame seeds ka istemal zarur karna chahye.
  • Sesame seeds ke istemal se burhape men bhi jawani ki bahar rehti he.
  • Sehat ke sath lambi umar paate hen.masane ki quwat ko barhata he aur peshab ke jumla e amraz men mufeed he.

Leave a Comment