Azan ke Baad ki Dua – Dua After Azan

77 / 100

Azan Ke Baad ki Dua

This post is all about dua after azan with translation and benefits.

Azan ke baad ki dua Azaan ke bad ki dua

Azan ki Pehli Dua:

Hadees shareef ke mutabiq azan ke baad durood shareef parhna phr mundarja zel dua ka parhna Shifaat nabi Peace Be Upon Him ke husool ka qawi sabab hai.

Dua ap image mai dekh sakte hain.Jis ka tarjuma ye hai.

Tarjuma: “Aye Allah! is dawat taama aur Salat qaima ke malik tu hamare sardar Hazrat Muhammad Peace Be Upon Him ko waseela aur fazeelat aur buland darja ata farma aur un ko maqam e mehmood mai khara kar jis ka tu ne un se wada farmaya hai.”

 

Azan ki Doosri Dua:

Nabi Kareem Peace Be Upon Him ne hazrat Umme Salma Razi Allah Anha ko farmaya ke tum azan e maghrib sunte waqt ye dua parha karo.

Dua ap image mai dekh sakte hain jiska tarjuma ye hai.

Tarjuma: “Aye Allah! Ye teri raat ke aane ka waqt hai aur tere din ke jane ka aur teri taraf bulane walon ki awazon ka pas mere gunah bakhsh de.”

 

Also Read: Azaan kay jawab ki fazilat

Leave a Comment