Fenugreek Seeds (Methi Dana) Health Benefits in Urdu

52 / 100

Fenugreek Seeds (Methi Dana) Health Benefits in Urdu

Fenugreek seeds ko Urdu main methi daana kehte hain jis kay fayde mundarja zel hain.

  • Fenugreek seeds qudrat ke khazanon men se hamen ata karda ek behetreen nemat he.
  • Fenugreek seeds hamare kitchen men rozmarah ke khanon men istemal hone wala masalah he.
  • Fenugreek seeds men kai tarah ke vitamins aur minerales pay jate hen.
  • Fenugreek seeds khanon men istemal ke saath saath is se boht si dawaiyan bhi banai jati hen.
  • Baalon ke jumla-e-amraz men boht faide mand he.
  • Nazla zukaam, seene ki takaleef aur balgham banne ki bimari men fenugreek seeds ka istemal boht mufeed he.
  • Subha sham fenugreek seeds ka qehva shehed ke sath pine se daimi nazla khatam ho jata he.
  • Fenugreek seeds khoon men shakkar ki miqdar kam karti he diabetes ke marizon ke liye boht mufeed he.
  • Raat bhar bhigoey hue methi daane ko subha nehar moo chabane se motapa kam hota he.
  • Fenugreek seeds kamar dard aur dard-e-jigar ko door karti he.
  • Fenugreek seeds hazme ko durust karti he.
  • Damme ke marizon ko fenugreek ka joshanda men shehed mila kar pilane se boht faida hota he.
  • Fenugreek seeds men vitamin A,B aur C ke ajza shamil hote hen.
  • Fenugreek seeds ke istemal se peshab khul kar ata he aur masana mazboot hota he.
  • Masane ki sardi men fenugreek seeds sab se ahem ghiza aur dawa he.

Leave a Comment