Elaj-e-Azam Ya Mueedu Benefits in Urdu

17 / 100

Elaj-e-Azam Ya Mueedu Benefits in Urdu

elaj-e-azam ya mueedu benefits in urdu

Asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.

“YA MUEEDU (DOBARA PEDA KARNE WALA,WO JO KAL MAKHLUQAAT KO MOT KE BAAD ZINDA KARNE WALA HE)”.

gumshuda shakhs ko wapis bulane ke liye jab ghar ke tamam aadmi so jaen to ghar ke 4aron kono men 70 baar YA MUEEDU parhe INSHAH ALLAH gumshuda 7 roz men wapis ajaey ga ya pata chal jaey ga.

agar khandan ka koi fard gum ho jaey to is ism ka 70 baar wird karne se gumshuda shakhs baa’afyat ghar ajaey ga.

agar koi baat ya cheez bhool gaya ho to YA MUBDIYO YA MUEED ka wird karne se INSHAH ALLAH yaad ajaey gi.nez is ke parhne se makhfi umoor ki taraf rehnumai hogi.

jo koi kisi muamle men mutahayyar ho wo 1000 baar ye ism-e-mubarak YA MUEEDU parhe khaljaan door ho jaey ga aur INSHAH ALLAH durust simt ki taraf rehnumai hogi.

Leave a Comment