Qabz ka Ilaj | Constipation Treatment in Urdu

61 / 100

Qabz Ka Ilaj

Qabz is an Urdu word for constipation. We can also say that the English meaning of Qabz is constipation. This post is related to how to treat constipation at home in the Urdu language.

qabz ka ilaj

Qabz Ka Fori Aur Gharelu Ilaj:

Qabz ko ummul imraz yani tamam imraz ki amma kaha jata hai aur hum mai se aksar is bimari mai mubtila hote hain. Khususan bache aur wo waalden ko batane mai sharam mehsoos karte hain. Agar is ka bar waqt ilaj na kia jae to mazeed bimariyan janam le leti hain.

Aur Walden ko bhi chahiye ke agar bache wash room mai zyada waqt laga rahe hain to un se puchen ke koi masla to nahi in par nigrani rakhen, ho sakta hai wo is marz mai mubtila ho aur batane mai sharam mehsoos kar raha ho.

Zel mai mash hoor herbalist aur har dil azeez doctor bilqees ye ek nuskha batarhi hain jise rozana khane ke baad choti goli ki miqdar  ke barabar khaya jae to bohot jald is daimi qabz se nijaat mil sakti hain.

Ajza:

  1. Injeer.
  2. Sanna Makki.
  3. Choti Harad.
  4. Munaqqa bagher beej ke.

Banane Ka Tariqa:

Tamam ajza ko hum wazan lekar pees len. Is paste ko haath se aate ki tarha goond len. Iski choti choti goliyan banakar rakh den.

 

Leave a Comment