Kuchalte Jismoñ Kā Dard Ab Bhī

Asad Rizvi Poetry in Urdu

kuchalte jismoñ kā dard ab bhī bikhar rahā hai badan badan meñ sulagte ḳhemoñ kī aag ab bhī bhaḌak rahī hai nazar nazar meñ sisakte bachchoñ kī aah ab bhī zamīn-e-dil ko hilā rahī hai taḌaptī lāshoñ kī chīḳh ab bhī bikhar rahī hai samā.atoñ meñ ragoñ se apnī ham apnā ḳhuuñ jo bahā rahe … Read more

Ki Jaise

Asad Rizvi Poetry in Urdu

ki jaise roz-e-azal se ab tak bikhartī qaus-e-quzah kī zad meñ ye reza reza vafā kī kirneñ utar rahī haiñ hamārī sāñsoñ kī alganī par کہ جیسے روز ازل سے اب تک بکھرتی قوس قزح کی زد میں یہ ریزہ ریزہ وفا کی کرنیں اتر رہی ہیں ہماری سانسوں کی الگنی پر

Maiñ Āsmāñ Kī Bulandiyoñ Se

Asad Rizvi Poetry in Urdu

maiñ āsmāñ kī bulandiyoñ se tumhārī nazroñ kī narm shāḳhoñ pe aa gayā huuñ ki sar-phirī sī havā kī zad meñ mirī nigāhoñ kā nuur gum hai maiñ chāñdnī kī safed rātoñ meñ luT gayā huuñ ḳhud apnī nazroñ se gir gayā huuñ magar ye merī ḳhatā nahīñ hai mirā muḳhālif ḳhudā nahīñ hai میں … Read more

Ai Malika-e-afkār DaraḳHshān-e-taḳHayyul

Asad Rizvi Poetry in Urdu

Ai Malika-e-afkār DaraḳHshān-e-taḳHayyul ai chāñdnī-e-zulmat-e-shab jān-e-taġhazzul kis naam kis alfāz se maiñ tujh ko navāzūñ kis tarah tujhe nazm ke sāñche meñ Dhālūñ maḳhmal sā badan nuqta-o-ḳhat phuul hai jis kā ye tarz-e-nigārish ki nazar jhuum rahī hai ye chāñd sitāre haiñ tirī raah meñ bikhre ye kāhkashāñ tere qadam chuum rahī hai har sher … Read more

Tumhāre Āñchal Kī

Asad Rizvi Poetry in Urdu

tumhāre āñchal kī surḳh shāmeñ ki jis kī ḳhushbū lahū lahū hai vo sabz bārish ki jo hamāre badan kī miTTī ko giilā kar ke dahakte sūraj kī garm bāñhoñ meñ so ga.ī hai تمہارے آنچل کی سرخ شامیں کہ جس کی خوشبو لہو لہو ہے وہ سبز بارش کہ جو ہمارے بدن کی مٹی … Read more

Tumhārā Mujrim

Asad Rizvi Poetry in Urdu

tumhārā mujrim tumhārī aalī meñ sar jhukā.e khaḌā huā hai jo daaġh dāman meñ lag chukā hai vo daaġh dāman se saaf kar do tum apne mujrim kī ma.azarat ko qubūl kar lo تمہارا مجرم تمہاری عالی میں سر جھکائے کھڑا ہوا ہے جو داغ دامن میں لگ چکا ہے وہ داغ دامن سے صاف … Read more

Ye Dhuup Dhuup Shab-o-roz Sulagte Lamhe

Asad Rizvi Poetry in Urdu

ye dhuup dhuup shab-o-roz sulagte lamhe ye tīrgī ye tajallī ye kaifiyat ye azaab ye ḳhvāb ḳhvāb tamannā ye aarzū ye ḳhayāl ye qurbateñ ye aqīdat ye fāsla ye hijāb sa.ūbatoñ kī masāfat se thak gayā huuñ maiñ bahut tavīl haiñ ye intizār kī rāheñ simaTte phailte lamhoñ ko thaam lo aa kar ukhaḌtī sāñseñ … Read more

Merī Mahbūb Ye Tauhīn-e-mohabbat Hogī

Asad Rizvi Poetry in Urdu

merī mahbūb ye tauhīn-e-mohabbat hogī bevafā kah ke mire pyaar ko majrūh na kar tujh ko shikva hai shikāyat hai gila hai mujh se merī qismat kī tarah tū bhī ḳhafā hai mujh se terī har baat hai taslīm magar kahne de daur-e-sarmāya kī roñdī huī ik laash ham zulm kī aag meñ ma.asūm mohabbat … Read more

Kaash Is Dil Kī Tarah Koī Makāñ Bhī Hotā

Asad Rizvi Poetry in Urdu

kaash is dil kī tarah koī makāñ bhī hotā apnī hastī kī tarah apnā jahāñ bhī hotā zulmat-e-shab meñ tajallī kā gumāñ bhī hotā mere hoñToñ pe mirā tarz-e-bayāñ bhī hotā merī yādoñ ko mirī jaan bisar jaane do baat jo dil pe guzartī hai guzar jaane do aaj jab tark-e-ta.alluq kā ḳhayāl aayā hai … Read more