Kharish aur Allergy ki Dua aur Elaj in Urdu

Urdutotke provides you wazifa and treatment of allergy in Urdu and Roman Hindi.

kharish aur allergy ki dua aur elaj in urdu

Kharish ki dua:

Kharish aur Allergy ki Dua aur Elaj in Urdu 1
1. Ye ayat rozana subha shaam 21 martaba pani par dam kar ke 41 roz tak mareez ko pilaeyn.INSHAH ALLAH TA’ALA kharish men boht faida hoga.
Kharish aur Allergy ki Dua aur Elaj in Urdu 2

2. SAYEDINA HAZRAT JA’AFARN R.A ne farmaya ke subha sham 7, 7 martaba SURAH QADAR pani par dam kar ke pilane se INSHAH ALLAH TA’ALA kharish men boht faida hoga.

Kharish ka elaj:

ALLAH TA’ALA ne har insan ko mukhtalif banaya he.isi liye har qisim ke jism men alag alag wajah se allergy aur kharish hoti he.1 glass taza pani men 2 tab sp sharbat-nilofar mila kar pi liya karen.1 glass subha nehar moo aur 1 glass sham jab pet khali ho yani 5 ya 6 baje tak pi liya karen.ek mahine ke musalsal istemal se INSHAH ALLAH aapko aram ajaey ga.sharbat-e-nilofar khoon saaf karta he.

Jism se fasid maadon ko nikalta he.aur qabz ko khatam karta he.agar aapko kharish fungas ya bacterial he to meethe tel men gandhak aamlasaar mila kar poore jism men rozana din men 2 baar halka massag karen.INSHAH ALLAH TA’ALA boht jald theek ho jaey ga.bazari khanon se parhez karen.

Leave a Comment