Benefits of Ayat e Kareema in Urdu

75 / 100

Benefits of Ayat e Kareema in Urdu

Ayat e Karima

Ayat e Kareema ki barhi fazilat he.jab bhi koi museebat aey chahe wo choti ho ya barhi ayat-e-kareema ke parhne se tal jati he.ayat-e-kareema ko aaj itna phelao ke iski barkat se aap par ane wali har musibat rehmat ban jaey.is dunya men insaan ko baaz oqaat barhe masaib-o-mushkilat ka samna karna parhta he.JANAB-E-RASOOL-E-MAQBOOL(S.A.W) ne aise mawaqe ke liye jo duaen taalim farmain hen wo masaib-o-mushkilat se nijat ka waseela bhi hen aur QURB-E-KHUDA WANDI ka zarya bhi he.in men se 1 dua ayat-e-kareema bhi he.hazrat saad bin abi waqas(r.a) se riwayat he ke.

RASOOL ALLAH(S.A.W) NE FARMAYA:

ALLAH ke peghambar hazrat yunus (a.s) jab samandar ki 1 machli ka luqma ban kar is ke pet men pohonch gaey the.to us waqt un ki dua aur pukaar ye ayat-e-kareema thi.jis ka tarjuma ye he.

tere siwa koi maabood nahi he to be aib he beshak men be insafon men se tha“. 

Leave a Comment