Naye Saal Mein Peechli Nafrat Bhula Dein,
Naye Saal Mein Peechli Nafrat Bhula Dein, Chalo Apni Duniya Ko Jannat Bana Dein
Nafrat is a word in the Urdu language that means “hatred” or “loathing.” Nafrat poetry is poetry that expresses feelings of hatred or loathing towards someone or something. This type of poetry may explore themes of anger, bitterness, and resentment towards a person, group, or concept. It may be used as a means of venting and releasing negative emotions, or as a way to confront and express feelings of anger and hatred towards a person or situation.
Naye Saal Mein Peechli Nafrat Bhula Dein, Chalo Apni Duniya Ko Jannat Bana Dein
Milega Kya Dil’on Mein Nafratein Rakh Kar, Bahut Mukhtasir Hau Zindagi Muskura Ke Mila Karo
Faasle Ghata Dete Hain Dilo’n Mein Nafraton Ko, Woh Jo Dur Huye Toh Kuch Mohabbat Si Hone Lagi فاصلے گھٹا دیتے ہیں دلوں میں نفرتوں کو وہ جو دور ہوئے تو کچھ محبت سی ہونے لگی
Kaun Chahta Hai Khud Ko Badalna, Kisi Ko Pyar Toh Kisi Ko Nafrat Badal Deti Hai
Do Kadam Agar Sath Chalna Hai Toh Zara Soch Lena, Hum Mohabbat Aur Nafrat Mein Qabar Tak Sath Dete Hain
Mohabbat Itni Hai Ke Dekhe Begair Raha Nahi Jaata, Aur Nafrat Itni Hai Ke Dekhne Ka Bhi Jee Nahi Chahta
Main Khush Hun Ke Teri Nafraton Ka Akela Waris Hun, Warna Mohabbat Toh Tujhe Bahut Se Logon Se Hai
Deekhawe Ki Mohabbat Se Behtar Hai Nafrat Karo Hum Se, Hum Sachey Jazbon Ki Bari Qadar Kia Karte Hain
Sirf Ehsas Badal Jaate Hain Duniya Mein Warna, Mohabbat Aur Nafrat Aik Hee Dil Se Hoti Hai