Shab e Barat kya hai aur Kiun Afzal hai

Shab e Barat kya hai aur Kiun Afzal hai

Allah ne hamen apni be shumar rehmaton se nawaza hai jis mai se ek shab e barat hai. Shab e kya hai aur kiun afzal hai ye ap janenge is post mai.

 

shab e barat ki fazilatShab e Barat kya haiShab e Barat kiun zaroori hai

15 Shaban ki fazilat aur ehmiyat:

Maah e Shaban ki pandarhwi shab ko shab e barat kaha jata hai. Shab ka matlab raat aur barat ka matlab bari hone ke hain aur qata talluq karne ke hain.Chun ke is raat musalman toba kar ke gunahon se qata talluq karte hain aur Allah ki rehmat se beshumar jahannum se nijaat pate hain is liye is raat ko shab barat kehte hain.

Is raat ko lailatul mubarak yani barkat wali raat lelatul sak yani taqseem amoor ki raat aur lelatul rehmat yani rehmat naazil hone wali raat bhi kaha jata jata hai. Jaleel Al qadar taaba-ee Hazrat Ataa R.A farmate hain, Lelatul Qadar ke baad shaban ki pandarhwee shab se afzal koi raat nahi.

Jis tarha Musalmano ke liye zameen mai 2 eiden hain isi tarha farishton ke liye aasman mai 2 eiden hain. Ek Shab e barat aur doosri shab e qadar. Jis tarha mominon ki eiden eid ul fitar aur eid ul azha hain. farishton ki eiden raat ko is liye hain ke wo raat ko sote nahi hain jab ke Aadmi sote hain is liye in ki eiden din mai hoti hain.

15 Shaban ki Ehmiyat Hadees Mai

Leave a Comment