Dry Skin Natural Face Tips in Urdu

Winter Dry Skin Face Tips in Urdu

Sab se zyada jildi masail ka shikar khushk jild ki tone rakhne wali khawateen hi hoti hain. Kharish wagera ki pareshani ke ilawa khushk jild par qabal az waqt hi jharriyan parne ki naa khushgawar soorat e haal ka samna bhi karna parta hai. Khushk jild wale hazrat khas tor sardiyon mai lazmi cold drink aur cleansing istemal karen. Is se apki jild kharab nahi hogi. Is ke ilawa jin jild kharab hochuki hai ya jin ki nahi bhi hui wo bhi ye totka istemal karen.

Ek anda len ise itna phenten ke jhaag ban jae, is ke baad is mai ek chae ka chamach shehed aur ek chae ka chamach glycerine aur ek chae ka chamach roghan e badam milakar mix karlen. Is face pack ko chehre ko 15 se 20 minute tak laga rehne den phir mun dholen. Chehre ke saath saath ise gardan mai bhi lagaen.

beauty tips for dry skin homemade in urdu

Leave a Comment