Teeth problems and care in urdu

Teeth problems and care in urdu

totkay in urdu for teeth pain

How to cure sensitive teeth at home in urdu:

Daanton ko sehat mand rakhne ke liye in ki warzish be had zaroori hai. Apni ghiza mai sakht aur taaza phalon ko shamil karlen aur inhen baghair cheelen aur kaaten daanton ki madad se khalen. Ganderiyan choosna bhi daanton ke liye mufeed hai. In se daanton ki warzish bhi hoti hai aur safai bhi daanton ki baqa aur inhen girne se rokne ke liye brush karna azhad zaroori hai.

Rozana sone se pehle aur subah uthne ke baad brush karna apni routine banalen. Brush karte waqt iski harkat ooper se neeche aur neeche se ooper ki jaanib rakhen. Brush karne ke ilawa khalal se daanton ke un hisso ko saaf karen jahan tak brush nahi pohonch sakta.

Daanton ko sab se zyada nuqsan meethi cheezon se phonchta hai. Agar meetha khane ke baad daant na saaf kia jae to mithas ki teh daanton mai jam kar tezabiyat paida karti hai aur daanton ki hifazati jhalli ko tabah kardeti hai. Is liye meetha khane ke baad kulli zaroor karlen. Apne daanton par zard ya siyah dhabba na lagne den warna wo paiyoria jesi bimari ka baais hoga.

Next Article: Yogurt juice health and skin benefits in urdu

Leave a Comment