Surah Alam Nashrah Benefits in Urdu

68 / 100

Surah Alam Nashrah Benefits in Urdu:

surah alam nashrah benefits in urdu

Is MUBARAK SURAT SURAH ALAM NASHRAH ko rozana 21 martaba parhna deen-o-dunya ke liye behad mufeed he maal-o-dolat aur izzat men izafa hoga,khandaan har tarah ki bimariyon se mehfooz rahe ga.alqissa YE SURAH ALAM NASHRAH ISRAR-E-ELAHI ka khazana he.SURAH ALAM NASHRAH ko parhne wala ilm ki dolat se mala maal ho jata he.baad namaz-e-esha rozana is ko 41 roz tak parhne se mushkil kaam asan ho jate hen.rozana sote waqt SURAH ALAM NASHRAH ko 11 martaba parhne ka mamool banane se ALLAH TA’ALA hamesha be gham kar dega aur iske shab-o-roz barhe itmenan-o-sukoon se guzren ge.seene par parh kar dam karne se tangi aur dard-e-qalb ko sukoon mile ga.SURAH ALAM NASHRAH ko likh kar pani men ghol ka pine se pathri reza reza ho kar nikal jaey gi aur dard-e-masana ke liye bhi be had mufeed he.

 

Tags: surah alam nashrah benefits, surah alam nahsrah ka wazifa.

 

Next: Surah Alam Nashrah

Leave a Comment