Moringa (Sahjan) Health Benefits in Urdu

55 / 100

Moringa (Sahjan) Health Benefits in Urdu

Moringa Health Benefits in Urdu

Moringa (Sahjan) Kay Fawaid:

  • Moringa ke be panah fawaid se aaj bhi kai log nawaqif hen.
  • Moringa ek be had zaiqe dar sabzi he aur is men boht se tibbi fawaid mojood hen.
  • Moringa ka poora darakht hi phal, phool, patte aur beej sabhi tibbi khawas ka khazana he.
  • Sauth India men iska istemal sab se zyada kiya jata he.
  • Moringa ke beej se tel nikala jata he.
  • Moringa ke phal aur phool ko sabzi ke tor par bhi istemal kiya jata he.
  • Moringa ke patte gond aur jarh se herbal dawaen tayyar ki jati hen.
  • Herbal men is se 300 se zyada marz ke liye dawaen tayyar ki jati hen.
  • Moringa men carbohidrates, protien, calcium, potassium, iron, magnessium, vitam A,B aur C bharpoor miqdar men paya jata he.
  • Ek research se ye baat samne ai he ke is men doodh se 4 gunah zyada calcium aur 2 guna zyada protien paya jata he.
  • Qudrati faidon se bhar poor he.ye cancer ki bimari ke liye behetreen dawa he.
  • Aur diabetes ke liye bhi behetreen dawa he.
  • Blood pressure ko normal rakhta he.
  • Khoon saaf karta he.
  • Haddiyon ka aur jism ka dard khatam karta he.
  • Cholestrol khatam karta he.
  • Khoon saaf karta he to jildi har bimari se bhi bachata he.
  • Wazan kam karta he. Moringa ek boht hi taqat war sabzi he.

Leave a Comment