Health Benefits of Fasting in Urdu

Urdutotke provides you benefits for health of fasting in Urdu and Roman Hindi.

health benefits of fasting in urdu

Benefits for health of fasting:

Roza rakhne se sab se pehle hamare jigar ki safai hoti he.roza rakhne se jigar ko rest milti he jis se jism ki bimariyan nikalti hen aur jigar ko taqat milti he.aur jigar agle saal ke liye bilkul taro taza ho jata he.roza rakhne se dil ki na sirf rohani safai hoti he balke dil bimariyon se bhi paak ho jata he.roza rakhne se jism ka cholestrol level kam hota he aur ye cholestrol hi dil ki naaliyan band karti hen.hamara dimagh aur jism ke tamam aza apas men mile hote hen jab ham roza rakhte hen na sirf jism halka hota he balke dimagh bhi aur sochon se balatar ho jata he.raat ki taravi parhne se dimagh ko itni taqat milti he ke dipresion ka naamo nishan nahi rehta.mote logon ka wazan kam hota he aur duble patle logon ko bhook lagna shuru ho jati he.sugar ke marizon ke lablabe ko taqat milti he aur sugar level normal rehna shuru ho jata he.qabz nahi hota bhook barhti he nizam-e-haazma behtar hota he aur jild saaf hoti he.aap khud sochen ke ALLAH PAAK ko hamare rozon se kiya saro kaar ye roze insan ke rohani aur jismani faide ke liye hen.

Leave a Comment