Dahi ke fayde urdu aur hindi mai

Dahi ke fayde urdu aur hindi mai

Dahi ke fayde urdu aur hindi mai janne kay liye neeche diye gae saare paragraphs ko ache se parhen.

dahi ke fayde

 

Dahi ke fayde Dahi ke fayde Dahi ke fayde benefits of curd benefits of curd what is tmac dahi ke fayde dahi ke fayde

Dahi ke fawaid

Dahi mardana taqat mai kese izafa karta hai aur mard aur aurat ko kese taqatwar banata hai. Dahi insani zindagi kay liye kitna ehem hai aur hamen beemariyon se kese bacha sakta hai. Dahi insani sehat kay liye mufeed tareen ghiza mai se ek hai. Ye calcium se bharpoor hota hai jo kay haddiyon ko mazboot banata hai saath saath is mai protein bhi paya jata hai jo muscles mazboot banata hai.

Is kay ilawa dahi ka istemal khane kay baad kia jae to ye jald khana hazam karne mai madad karta hai aur zehreelay maade aur khatarnaak mawad se pak karta hai. Dahi mai mojood bacteria quwat madaafat mai izafe ka baais hota hai.Is tarha is mai insani jism kay liye zaroori vitamins bhi kafi miqdar mai mojood hote hain. Dahi jism ki kamzori aur khoon ki kami mai nihayat faida mand saabit hota hai. Jin logon ka hazma kamzor ho in kay liye doodh ek zod hazam ghiza hai.

Dahi mai doodh se dugni taqat hoti hai.Bachon kay petchis, khoon ki kami, kamzori aur aanton ki beemariyon mai dahi ghiza bhi hai aur dawa bhi. Is se badan ki parwarish hoti hai. Doctors ne saabit kia hai kay dahi kay istemal se na sirf tandusti qaim rehti hai bal kay umer bhi barhti hai. Ise sar par laga kar khushki se nijaat bhi haasil kar sakte hain.

Is kay ilawa mai is mai Vitamin E, Zinc aur Phosphorus hote hain jo insani jild kay intehai mufeed hai. Dahi doodh kay muqable mai jaldi hazam hojata hai. Dahi Vitamin ka majmua hai. Dahi wazan kam karane mai madad deta hai. Dahi se dimaghi taqat mai bhi izafa hota hai. Dahi Blood pressure aur Hepatitis kay marz mai bhi bohot mufeed hai.

Dahi peshab kay track ko theek karta hai. Dahi dairia kay marz kay liye mufeed hai. Dahi ilergy se mehfooz rakhta hai. Dahi pet kay dard ko door karta hai. Dahi se dimaghi kamzori door hoti hai. Dahi colestrol ko behter karta hai. Dahi jild ko roshan banata hai. Dahi se khoon ki kami door hoti hai.

Next Health Tip:

Yogurt Benefits in Urdu

Leave a Comment