Sadqe ki Fazilat aur Ahemyat in Urdu

Urdutotke provides you superiority of charity in Urdu and Roman Hindi.

sadqe ki fazilat aur ahemyat in urdu

Sadqe ki fazilat:

RASOOL ALLAH S.A.W.W NE FARMAYA JIS NE PAAK KAMAI SE EK KHAJOOR KE BARABAR SADQA KIYA TO ALLAH TA’ALA ISKO APNE DAAEYN HATH MEN LE LETA HE.AUR ALLAH SIRF PAAK KAMAI KO QUBOOL KARTA HE.PHIR ISKO KHERAT KARNE WALON KE LIYE PALTA REHTA HE.JIS TARAH TUM MEN SE KOI SHAKHS BACHRHE KO PALTA HE.YAHAN TAK KE WO KHERAT PAHARH KE BARABAR HO JATI HE.SDQA IS TARAH DO KE EK HATH SE DO TO DOOSRE HATH KO KHABAR BHI NA HO.

Jab insan apne hath se sadqa deta he to us waqt sadqa 5 baaten kehta he.

1:  Men faani maal tha tum ne mujhe baqa de di.

2:  Men tera dushman tha lekin tum ne mujhe dost bana liya.

3:  Aaj se pehle tu meri hifazat karta tha aaj se men teri hifazat karoon ga.

4:  Men haqeer tha tum ne mujhe azeem bana diya.

5:  Pehle men tere hath men tha ab men ALLAH TA’ALA ke hath men hoon.

Sadqa dene se maal men koi kami nahi hoti balke agar aap 1 rupya sadqa dete ho to wo ALLAH TA’ALA ki taraf se 10 gunah barh kar aapko wapis milta he.chahen to azma lena.

Sadqe ki ahemyat:

RASOOL ALLAH S.A.W.W NE FARMAYA SADQA HAR MUSALMAN AADMI PAR HAR ROZ KARNA ZARURI HE.LOGON NE KAHA AEY ALLAH KE RASOOL S.A.W.W HAMARE PAAS ITNA MAAL KAHAN KE ROZ SADQA KAREN.AAP S.A.W.W NE FARMAYA KE SADQA KARNE AUR SAWAB HASIL KARNE KE ZARYE BOHT HEN.SIRF MAAL HI NAHI

Sadqe ki Fazilat aur Ahemyat in Urdu 1

PARHNA BHI SADQA HE.DOOSRON KO NEKI KI TALQEEN KARNA AUR GUNAHON SE ROKNA BHI SADQA HE.RASTE SE PATHAR YA KANTE HATANA BHI SADQA HE.SADQA WO CHEEZ HE JIS KA SAWAB MOT KE BAAD BHI MILTA REHTA HE.

Leave a Comment