Pet kam karne ka yoga | Motapay ka ilaj

Pet kam karne ka yoga | Motapay ka ilaj

pet kam karne ka yoga motapay ka ilaj
Patle hone ke tarike/pet kam karne ke gharelu upay:

Kya ap motapay se pareshan hain? Kya apka wazan barh raha hai? To chalen aaj hum apko bataenge kay wazan kese kam kia jae ya control mai rakha jae. Sab se pehle to chaawal roz na khaen, hafte mai ek ya do baar istemal karen. Tali hui cheezen kam istemal karen aur salad ka zyada istemal karen, Is se apka wazan control mai rahega aur agar ap wazan kam karna chahte hain to subah nihar mun ek cup neem garam pani mai ek leemu nichor kar roz istemal karen, Din mai khane kay baad shehed istemal karen aur pani khane kay aadhe ghante baad piyen. Aur agar office jate hain aur apka kam bethne ka hai to koshish karen body building karen ya phir yoga karen ya walk karen. Yoga se pet kam karne ka tariqa sadiyon se chalta arha hai. Insha Allah is amal se apko bohot faida hoga.

Leave a Comment