Orange Juice ke be Inteha Faide in Urdu

Urdutotke provides you health and skin benefits of orange juice in Urdu and Roman Hindi.

orange juice health benefits

ORANGE JUICE HEALTH AND SKIN BENEFITS:

  1. Orange mosam-e-sarma ka qudrat ki taraf se anmol tohfa he.orange body men boht si bimariyon se bachne men quwat-e-mudafeat rakhta he.orange taseer men sard tar he.orange juice qabz door karta he aur mede ki kharabi ko theek karta he.
  2. Orange juice ek boht hi energyful aur healthful juice he.sab se pehli baat to isko pi kar body instant energise ho jati he.
  3. Orange juice pine men boht hi mazedar hota he.orange juice se moo ka zaiqa bhi acha ho jata he.
  4. Orange juice men agar kala namak mila kar piyo to ye juice haazme ka kaam karta he aur badhazmi door karta he.orange juice ke istemal se cholestrol khatam hota he.
  5. Orange juice faalij hone se bachata he.orange juice ke istemal se blood pressure normal rehta he.
  6. Orange juice heart pasient ke liye boht hi faide mand he.orange juice skin ke liye boht hi faide mand he.
  7. Orange juice hamari skin ke daagh dhabbe aur chaiyon ko door karta he.orange juice skin ko shiny aur gora banata he.
  8. Orange juice vitamin C se bhar poor hota he.jo ke hamari ankhon aur baalon ke liye boht hi faide mand he aur insani jism ki haddiyon ki nashonuma karta he.orange juice haddiyon ko mazboot banata he.
  9. Orange juice khoon ko patla karta he.orange juice haafza tez karta he.orange juice dimaghi salahiyat aur kaarkardagi ko behtar banata he.orange juice ek aisa qudrati tonic he jis ke koi nuqsanat nahi hen.orange juice mede aur jigar ke liye mufeed he.
  10. Orange juice peshab ka peela pan door karta he.

Leave a Comment