Falsa Juice Cooking Recipe and Benefits in Urdu

Urdutotke provides you special Falsa Juice cooking recipe and benefits in Urdu and Roman Hindi. Urdu Totke is famous for cooking recipes in Urdu and Hindi. You can also check other recipes on our blog.

Falsa Juice Cooking Recipe and Benefits in Urdu

Ingredients:

False  =  1 pyali

Thanda pani  =  2 glass

Cheeni  =  hasb-e-zarurat

Kala namak  =  1/4 tea sp

Ice  =  hasb-e-zarurat

 

Method:

Falsa,thanda pani,cheeni,kala namak aur ice daal kar achi tarah grind kar len.grind hone ke baad is falsa juice ko chaan len.taake beech alehda ho jaey.mazedar thanda falsa juice tayyar he.

 

Benefits of falsa juice:

Falsa garmiyon ka phal he.falsa ka juice ek thanda sharbat he.jo ke pyas ko bujhata he.garmi ka bukhar,seena,meda aur peshab ki soozish ko mitata he.qalb,meda aur jigar ko taqweet deta he.

False ka sharbat ikhtelaj-e-qalb ko mufeed.jism ki hararat ko kam karta he.falsa khane ya phir false ka sharbat pine se heat strock se bacha ja sakta he.

False ke boht sare faide hen.ALLAH PAAK ne garmiyon men hamare liye false ke roop men boht barhi nemat bheji he.ham ALLAH PAAK ka jitna bhi shukrya ada karen wo boht kam he.false ka sharbat full body ke liye faide mand he.ye full body ko cool karta he.

Leave a Comment