Durood-e-Ibrahimi ki Fazilat in Urdu

67 / 100

Durood-e-Ibrahimi ki Fazilat in Urdu:

durood-e-ibrahimi ki fazilat in urdu

Namaz men jo durood-e-paak parha jata he us men HAZRAT IBRAHIM A.S ka naam ata he isi liye ise DUROOD-E-IBRAHIMI kaha jata he.DUROOD-E-IBRAHIMI tamam duroodon ke seghon se afzal he qk is durood ke alfaaz HUZOOR-E-AKRAM S.A.W.W ke farmooda hen.is liye is durood-e-paak ko namaz ke elawa kasrat se parhna deeni-o-dunyavi fuyooz-o-barkaat haasil karne ka behetreen zarya he aur ALLAH TA’ALA ki rehmat-o-khushnoodi hasil hoti he.dunya ke tamam kamon men asani peda ho jati he aur qadam qadam par ALLAH TA’ALA ki madad shamil-e-haal rehti he.hajaat poori ho jati hen.HUZOOR-E-AKRAM S.A.W.W ki shifa’at wajib ho jati he.rizq ki tangi door ho jati he.maal-o-asbaab men barkat peda ho jati he.khatma bil imaan he.is ke elawa aakhrat ki zindagi se mutalqa tamam manzilen asan ho jati hen.aur is DUROOD-E-PAAK ko parhne wala jannat men jaey ga.

 

Next: Darood e Ibraheemi

Tags: durood ibrahim ki fazilat, durood e ibrahim ki barkat

Leave a Comment