DHUAN MUTTHI KABAB

                            DHUAN MUTTHI KABAB

DHUAN MUTTHI KABAB 1

INGRIDIENTS

1; machini qeema 1 kg.

2; adrak lehsan ka paist 2 tab sp.

3; 1 packet seekh kabab masalah.

4;  oil talne ke liye.

5; 1 koele ka turha.

METHOD

machini qeeme men adrak lehsan ka pait or masalah mila kar 2 ghante ke liye chorh den.ab is qeeme ke mutthi ke shakal ke kabab bana len.1 koele ko choolhe par laal kar len.jab koela bilkul aag ho jaey to use kabab ke darmiyan1 dabal roti ya roti ke tukrhe par rakh kar koele par thorha sa oil daal den.us men se dhuan nikle ga jb dhuan nikalne lage to foran kisi barhe bartan se dhak den.jab dhuan achi tarah qeeme men jasb ho jaey to use 1, 1 kar ke tal len.ye len aap ke asan or mazedar dhuan mutthi kabab tayar hen. 

Leave a Comment