Choona Kay Faide aur Istemal

Urdutotke provides you health benefits of choona in Urdu and Roman Hindi.

Choona Kay Faide aur Istemal

Choona Benefits in Urdu:

Chune ke bhi be inteha faide hen jise hum bekar si cheez samajhte he.wo chuna jise hum paan men khate hen.us chune ke boht faide hen.gatthya ka dard,ghutno ka dard,sar ka dard,kamar ka dard,jorhon ka dard,kandhon ka dard gharz ke kisi bhi jorh ka dard ho to chune ke istemal se khatam ho sakta he.

Gehun ke daane ke barabar chuna garam pani men mila kar ya phir taza dahi ke sath mila ya daal men mila kar khaye.1/2 cup taza dahi men 1 gehun ke daane ke barabar chuna mila kar rozana khaye is se sar ka dard,gale ka dard,ghutno ka dard,jism ka dard khatam kar deta he.

Jin bachon ka qad nahi barhta ho.unhen gehun ke daane ke barabar rozana taza dahi ya garam pani ya daal men mila kar khilaye.un bachon ka qad barhne lage ga.jo bache kamzor dimagh ke hote hen un ke sath bhi yahi amal daily karen.

Agar aap ke daanton men dard ho ya daant hilta ho to chuna khaye.danton men thanda garam lagne ki surat men ya keerha lagne ki surat men chuna khaye.pregnent ladies agar rozana gehun ke daane ke barabar chuna khaeyn gi to unka bacha sehat mand aur aqalmand hoga.

Delivery ke doran maa aur bache ko koi takleef nahi hogi.normal aur asan delivery hogi.agar 4, 5 daane ke barabar chune ko pani men mila kar gaey aur bhens ko rozana pilane se uska doodh barhta chala jaey ga aur us doodh men ghee bhi barhe ga.jise hum bekar samajhte hen us chune ke kitne faide hen.

Leave a Comment