Chikungunya treatment Home Remedies in Urdu

Urdutotke provides you home remedies treatment of chickengunya in Urdu and Roman Hindi.

chikungunya treatment home remedies in urdu
Chickengunya ki alamaat:
  1. Chikungunya bhi dengue aur zika ke hi jesa ek virus he.jo ke machar ke katne se insani jism men phelta he.aur insani jism ko mutasir karta he.
  2. Chikungunya ki alaamat 3 se 7 din men wazeh hoti he.
  3. Chikungunya ki alaamat men sar men dard ke sath tez bukhar charhta he.
  4. Jorhon aur patthon men shadeed dard hota he.aur jorhon ki jagah sooj jatin he.

Chickengunya ka gharelu elaj:

  1. 1;  Chikungunya ke bukhar ke dard men neem garam pani men lahori namak daal kar jahan jahan dard he wahan wahan sekai karen.
    2;  Chikungunya ke bukhar ke dard men sarson ke tel men lehsan aur sahajne ki phali ko garam kar ke chaan len aur neem garam tel se dard wali jaghon par malish karen.
    3;  Chikungunya ke bukhar men raat ko sone se pehle 2 injeer senk kar kha liya karen.
    4;  Chikungunya ke bukhar men angoor ko neem garam doodh ke sath khaeyn boht faida hoga.
    5;  Chikungunya ke bukhar men kachi gajar ka istemal karen.
    6;  Chikungunya ke bukhar men neem ki sukhi pattiyon,tulsi,ajwain aur kishmish ko 1 glass pani men ubaal kar din men 2 se 3 baar piyen.
    7;  Chikungunya ke bukhar men tulsi ke 7 pattay aur 3 kali mirchen sil par pees len aur is men 1 chutki misri mila den.is dawa ko istemal karen.INSHAH ALLAH afaqa hoga.
    8;  Chikungunya ke bukhar men naryal pani zyada se zyada piyen.

Leave a Comment