Sweet Samosa Recipe in Urdu

Urdutotke provides you recipe of homemade sweet samosa in Urdu and Roman Hindi.

sweet samosa recipe in urdu

Recipe of homemade sweet samosa:

Ingredients:

  1. Meda  –  1/2 kilo
  2. Ghee  –  hasb-e-zarurat
  3. Cheeni  –  10 se 12 tab sp
  4. Khoya  –  1 pao
  5. Badam,pista,kishmish aur naaryal  –  125 grm(barik kate hue)
  6. Elaichi powder  –  1/2 tea sp

Method:

Mede ko 2 tab sp ghee daal kar aur chutki bhar namak mila kar pani se goond len jese poori ka ata goondte hen aur ise 1 ghante  ke liye geele kaprhe se dhaanp kar rakh den.1 pan ko choolhe par rakhen.halki aanch par 4 tab sp meda daal kar bhoon len.meda halka brown ho jaey to is men khoya,badam,pista,kishmish,naaryal aur cheeni mila kar murakab bana len.ab goonde hue mede ke chote chote perhe bana kar choti roti ki shakal men bel len.roti par meve ka ameza daal kar roti ko half men fold kar den aur sides se kaante wale chamach ki madad se daba den.ab ise garam ghee men fry kar len.

Leave a Comment