surah al fatihah ki fazilat in urdu

surah al fatihah ki fazilat in urdu 1

surah al fatihah ki fazilat in urdu

surah al fatihah ki fazilat in urdu 2
surah al fatihah ki fazilat in urdu 3
                                                                  surah al fatihah
                                                              surah fatiha benefits
                                                             surah al fatiha arabic.

HAZRAT ANUS(R.A) FARMATE HEN KE 1 MARTABA NABI-E-PAAK(S.A.W) SAFAR KE DORAAN EK JAGAH APNI SAWARI SE UTRE TO QAREEB HI EK AUR SHAKHS BHI SAWARI SE UTAR GAYA.RASOOL-E-PAK(S.A.W) IS SHAKHS KI TARAF MUTAWAJAH HUE AUR FARMAYA”

KYA MEN TUMHEN QURA’AN PAK KE AFZAL HISSE KE BAARE MEN NA BATAON?

“IS SHAKHS NE ARZ KIYA,”YA RASOOL ALLAH(S.A.W)! ZAROOR BATAYE”TO AAP (S.A.W) NE “(ALHAMD-UL-ILLAH KI TILAWAT FARMAI”.

wese to SURAH FATIHA ki fazilaten bayan karna ham insano ke bas men nahi phir bhi chand fazail darj zel hen.

surah fatiha 7 baar parh kar dam karna dard-e-dant,dard-e-shikam,dard-e-sar aur deegar dardon ke liye nehayat mujrib he.

namaz-e-tahajjud ke baad rozana 41 baar surah fatiha parhne se rizq kushada hoga.

subha sadiq ke waqt surah fatiha parh kar dono hathon par dam kar ke chehra aur tamam badan par pherne se us roz piyas ka ghalba na hoga.

agar 40 baar surah fatiha parh kar pani par dam kar ke bukhar wale ke moo pe chirhka jaey to bukhar jata rahe ga.

namaz-e-jumma salam pherne ke baad alhamdo shareef,qul shareef,surah falaq aur surah naas 7 baar parhe to INSHAH ALLAH parhne wale ka deen-o-dunya,ahlo ayal-o-aulad ainda jumme tak har balaa se mehfooz rahe ga.


Leave a Comment