Skip to content
spinach(palak) health nutrition in urdu
spinach health benefits
spinach nutrition
vitamins in spinach
health benefits spinach
baby spinach nutrition
nutrition in spinach.
spinach ek aisi sabzi he jo ke har mosam men dasteyab hoti he.spinach mizaj men sard tar he aur fori taqat bakhsh hoti he.spinach zod hazam ghiza he.spinach har mizaj ke logon ke liye mufeed he lekin sard mizaj ke log ise gosht ke sath paka kar khaen.spinach men vitamin A,vitamin E,vitamin K,megnetium,zinc,fiber,protien,calcium aur iron bharpoor miqdar men paey jate hen.aur ye tamam ajza insani jism ke liye boht zaruri hen.spinach sab se zyada khaya jane wala saag he.100 grm pake hue spinach men 23 harare,3 grm protien,4 grm nishasta aur 2 grm ghizai resha hota he.spinach peshab aawar he.spinach mede ki soozish aur jigar ki garmi ko door karta he.spinach dimagh ki khushki door karne ke liye mufeed he.spinach ka istemal khoon barhata he aur jigar ko taqweet deta he.spinach men mojood calcium haddiyon ko mazboot karta he.ye binai ko lajawab taqat deta he.baalon ko sehat bakhshta he.spinach ke patton ko pani men ubal kar namak mila kar gharara karne se gale ka dard aur waram door ho jata he.