Sardiyon Men Adrak ki Chai ke Faide in Urdu

Urdutotke provides you winter season benefits of ginger tea in Urdu and Roman Hindi.

sardiyon men adrak ki chai ke faide in urdu
Recipe of ginger tea:

1 inch ka adrak ka tukrha len aur is ke katle kaat len.2 cup pani kisi patili men ubaal len.jab pani ubalne lage to adrak is pani men daal den.8 se 10 mint tak adrak daal kar pani ko pakaeyn.phir choolha band kar den aur adrak ke qehwe ko channi se chaan len.phir hasbe zarurat 2 tea sp shehed aur hasb-e-zaiqa 1 tea sp limo ka ras shamil kar den.adrak ki mazedar chai tayyar he.

Adrak ki chai ke be inteha faide hen:

  1. Adrak ki chai motapa kam karti he aur baadi pan khatam karti he.jism ko munasib kar ke mota hone se rokti he.adrak ki chai doran-e-khoon ko barhati he.poore aur aadhe sar ke dard ko khatam karti he.
  2. Adrak ki chai jism aur jorhon ke dard ko aram pohnchati he.matli aur ulti ke elaj ke liye adrak ki chai ka istemal karen.khansi ho ya nazla ho ya zukham ki surat men adrak ki chai boht behetreen elaj he.
  3. Adrak ki chai pine se sardi men jism garam hota he.shadeed sar dard ye shadeed nazle ki haalat men adrak ki chai ka istemal zarur karen.is adrak ki chai ko 8 saal se kam umar ke bache istemal na karen.
  4. Adrak ki chai ka rozana bhi istemal na karen aur sakht garmiyon men to har giz nahi karen.dil ke mariz aur jo log pehle se garam dawaiyon ka istemal kar rahen hen wo har giz bina doctor ke mashware ke adrak ki chai ka istemal na karen.

Leave a Comment