Bewafa Poetry
MĀYŪSĪ-E-MA.ĀL-E-MOHABBAT NA PŪCHHIYE
māyūsī-e-ma.āl-e-mohabbat na pūchhiye
apnoñ se pesh aa.e haiñ begānagī se ham
SAHIR LUDHIANVI
Bewafa Poetry
SUPURD KAR KE USE CHĀÑDNĪ KE HĀTHOÑ MEÑ
supurd kar ke use chāñdnī ke hāthoñ meñ
maiñ apne ghar ke añdheroñ ko lauT ā.ūñgī
PARVEEN SHAKIR
Bewafa Poetry
UTHTE NAHĪÑ HAIÑ AB TO DUĀ KE LIYE BHĪ HAATH
uThte nahīñ haiñ ab to duā ke liye bhī haath
kis darja nā-umīd haiñ parvardigār se
AKHTAR SHIRANI
Bewafa Poetry
YE AUR BAAT KI CHĀHAT KE ZAḲHM GAHRE HAIÑ
ye aur baat ki chāhat ke zaḳhm gahre haiñ
tujhe bhulāne kī koshish to varna kī hai bahut
MAHMOOD SHAAM
Bewafa Poetry
KOĪ TO AISĀ GHAR HOTĀ JAHĀÑ SE PYAAR MIL JAATĀ
koī to aisā ghar hotā jahāñ se pyaar mil jaatā
vahī begāne chehre haiñ jahāñ jaa.eñ jidhar jaa.eñ
SAHIR LUDHIANVI
Bewafa Poetry
YE SHUKR HAI KI MIRE PAAS TERĀ ĠHAM TO RAHĀ
ye shukr hai ki mire paas terā ġham to rahā
vagarna zindagī bhar ko rulā diyā hotā
GULZAR
Bewafa Poetry
MUJH SE NAFRAT HAI AGAR US KO TO IZ.HĀR KARE
mujh se nafrat hai agar us ko to iz.hār kare
kab maiñ kahtā huuñ mujhe pyaar hī kartā jaa.e
IFTIKHAR NASEEM
Bewafa Poetry
RONE LAGTĀ HUUÑ MOHABBAT MEÑ TO KAHTĀ HAI KOĪ
rone lagtā huuñ mohabbat meñ to kahtā hai koī
kyā tire ashkoñ se ye jañgal harā ho jā.egā
AHMAD MUSHTAQ
Bewafa Poetry
UN KĀ ĠHAM UN KĀ TASAVVUR UN KE SHIKVE AB KAHĀÑ
un kā ġham un kā tasavvur un ke shikve ab kahāñ
ab to ye bāteñ bhī ai dil ho ga.iiñ aa.ī ga.ī
SAHIR LUDHIANVI
Bewafa Poetry
ISHQ MEÑ KAUN BATĀ SAKTĀ HAI
ishq meñ kaun batā saktā hai
kis ne kis se sach bolā hai
AHMAD MUSHTAQ
Popular
Baat Bey Baat Jo Bhar Aati Hain Aankhen Apni,
بات بے بات جو بھر آتی ہیں آنکھیں اپنی
یاد...
Waqif-E-Gham, Mutabasam, Mutaqalam, Khamosh
واقفِ غم، متبسم، متکلم، خاموش
تم نے دیکھی ہیں کہیں...
Kafan Mery Sar Say Utar Kay Khoob Didar Kar Lena Phir Kabhi
کفن میرے سر سے اُتار کے خوب دیدار کرلینا...
Parona Nahi Hamen Ankho May Intazar
پرونا نہیں ہمیں آنکھوں میں انتظار
بس کہہ دیا نا!...