Skip to content
plum(alu bukhara) health benefits in urdu
black plum nutrition
red plum nutrition
dried plums benefits
plums for weight loss
plum nutrition
plum fruit benefits
red plum fruit.
plum ek mashoor phal he jise pkane aur sukhane dono ke baad khaya jata he.plum pakne ke baad phal aur sukhane ke baad meva kehlata he.plum ko sukhane ke baad khanon men masala jat ke sath istemal kiya jata he.hindopak men plum ko zyada tar dawai ke tor par istemal kiya jata jata he.maghribi mumalik men plum se dishises banai jati hen jo ke zaiqe daar hoti hen.plum men fat,protien,vitamins A,B,C,K,E pay jate hen is ke elawa is men calcium,iron,potassium,soddium aur megnessium pay jate hen.plum tabyat ko narm karta he.pyaas men taskeen pohnchata he.khoon ke josh ko kam karta he is liye high blood pressure men mufeed he.matli men plum ka istemal mufeed he.garmi ke sar dard men plum ka istemal mufeed hota he.plum ka sharbat grmi ka torh he.plum zakhmon ko jaldi theek karta he.nazle ko rokne ke liye patton ka joshanda bana kar gharara karna mufeed sabit hota he.plum ka muraba farhat bakhsh aur qabz kusha he.kharish ko door karne ke liye plum ka musalsal istemal be had mufeed he.khansi men iska istemal nuqsan deh nahi hota.mon aur halaq ki khushki ko door karta he.paon ki jalan ko door karta he.chirhchirhe pan ko khatam karta he.