neem health benefits in urdu
neem for skin
benefits of neem oil
neem tree benefits
benefits of neem leaves
neem health benefits
benefits of neem,neem uses.
neem tree health benefits
neem ka darakht apne andar boht si bimaryon ka elaj samoe hue he isi liye neem tree ko moajzaati darakht bhi kaha jata he.neem tree boht si anti becterial aur anti fungal khususyat ka hamil he.neem tree ka har hissa phal,beej,patte,chaal,jarh bator-e-dafa afonat,dafa jaraseem ke tor par istemal hota he.
neem leaves health benefits
neem ke patte ke faide be inteha aur an ginat hen.neem ke patton ko pani men itna pakaen ke patte naram parh jaen phir is pani ko chan len aur saade pani men mila kar is pani se nahane se jildi bimaryan jese khushki,kharish,daane,garmi daane,elargi,smel aur boht se jarasimon ka khatma ho jata he.is se jhuryanbhi khatam ho jati hen rangat bhi nikharti he aur jism thanda aur taro taza ho jata he.
neem fruit health benefits
hakim log zyada tar is phal ko sugar yani diabetes ki bimari ke elaj ke liye istemal karte hen.ye phal khane se diabetes ki bimari taqreeban khatam ho jati he.qk ye khoon se sugar level ko kam karta he.khoon saaf karta he.
neem pest health benefits
neem ke patton ko sil men pees kar golyan bana kar khane se elargi,infection khatam ho jate hen.jab khasra hota he to khas kar ye golyan khilain jati hen qk is se dane khatam ho jate hen.ye khoon ko karhwa karta he.khoon saaf karta he.jism ke andar mojood becteria ko khatam karta he.is ke istemal se jild saaf hoti he aur rang nikharta he.
neem juice health benefits
neem ka juice pine se khoon saaf hota he khoon saaf hoga to autometic tamam bimaryan bhi khatam ho jaengi.aur khoon men sugar leval bhi kam karta he.
neem oil health benefits
neem ke oil se sar aur baalon ki malish karne se baal lambe, ghane, kaale aur mazboot hote hen.aur is se juen bhi khatam ho jati hen.sar ki khushki door ho jati he aur aur baal sehat mand ho jate hen.
Related