moo ki badboo ka ilaj in urdu

moo ki badboo ka ilaj in urdu 1

moo ki badboo ka ilaj in urdu

moo ki badboo ka ilaj in urdu
                                                                moo ki badboo ka ilaj
                                                           mouth smell solution in urdu
                                                                   bad breath causes
                                                                      smelly breath.

moo se badboo ane ki boht si wajuhaat ho sakti hen.jese ke jin logon ko qabz rehta he unke moo se bhi badboo ati he.ya jin logon ka nizam-e-hazma durust na ho un ke moo se bhi badboo ati he.jo log apne moo ki safai nahi karte unke moo se bhi badboo ati he.

1;  moo se badboo ko khatam karne ka sab se acha aur asan hal ye he ke din men 5 time na sahi to kam az kam 3 time miswak kar liya karen miswak karne se hamesha moo se khushboo ati he aur insaan boht si bimariyon se bacha rehta he.

2;  sonf ko halka sa bhoon kar rakhen aur har khane ke baad 1 chamach sonf chaba liya karen. sonf nizam-e-hazma ke liye bhi acha he.sonf baadi pan bhi khatam karta he.aur gas ki bimari bhi nahi hoti.

3;  raat ko sone se pehle adrak ka 1 inch ka tukrha le kar 1 mint tak chabaen aur koshish karen ke adrak ka ras moo men hi rahe.iske baad bina kuch khaey piye so jaen.subha moo se koi badboo nahi aey gi.adrak har khane ke baad khaeyn ge to sara din moo se badnahi aeygi.adrak khane ko hazam karne men madad deta he.aur daanton ka peela pan khatam karta he.

4;  sirka 1 chamach,garam pani 1 cup,shehed 2 chamach,long pisi hui adha tea spoon.in sab ko mix karen aur rozana 1 hafte tak istemal karen.

5;   har khane ke baad daanton ko saaf karen aur har khane ke baad tulsi ke patton ko chabane se bhi moo se badboo nahi ati he.

Leave a Comment