Mehendi Benefits in Urdu

Urdutotke provides you benefits of mehendi in Urdu and Roman Hindi.

mehendi benefits in urdu
Benefits of mehendi:

Mehendi har tarah se istemal ki jati he.chahe wo patton ki shakal men ho ya pisi hui ho.mehendi ke be inteha fawaid hen.mehendi ka istemal bhi sar se le kar paon tak ki boht si bimariyon ke elaj men hota he.

Mehendi agar sar men lagai jaey to sar ka kesa bhi shadeed dard ho,dimagh ki jalan aur garmi ko door karti he.baalon ke tamam masail ko khatam karti he.baalon ko lamba,ghana,mazboot aur khoobsurat banati he.

Mehendi ko agar hathon aur peron men lagai jaey to hathon ki jalan aur peron ke talwon ki jalan ko khatam karti he.jin logon ke hathon aur per ke talwon men pasina ata ho aur pasine ki wajah se badboo bhi ati ho to wo log tazi mehendi ke patton ko pees kar hathon aur per ke talwon par lagaen.

INSHAH ALLAH is amal se aap ke hathon aur peron ki jalan,pasine ki badboo,peron ke talwon ka phatna aur harmoons ki pareshani bhi theek ho jaynge.

Leave a Comment