lemon skin care tips in urdu
lemon juice on face
lemon on face
lemon for face
lemon on skin
lemon juice on skin
lemon juice acne scars.
khawateen apne husn ki hifazat ke liye boht se totkon ka istemal karti hen.taake in ki jild ki safai or hifazat ho sake.is garam mosam men aap apni jild ki hifazat limo se bhi kar sakti hen.
limo ka chilka pees kar is men 1 tea sp glycrin aur 1 tea sp arqe gulab mila kar cream tayar kar len.raat ko sone se pehle phati hui airhyon men laga len aur subha per dho len.phati hui airhyan theek ho jaengi.
chikni jild ki safai ke liye 1 limo ke ras men 1 tab sp besan aur 2 tea sp arqe gulab mila kar mask bana len.10 mint ke liye face pe lagaen aur saaf pani se dho len.
limo ke ras men 1 tea sp shehed mila kar mask banaen aur garmi men dhoop se parhne wale nishanon par lagaen.thorhe din men hat jaenge.
limo ke chilke ko pees kar is men roghan-e-badam ya phir petrolium jelly mila kar ankhon ke gird lagaen.chand mint massag karen phir malmal ke kaprhe ko arqe gulab men bhigo kar is se saaf kar len.ankhon ke gird parhi jhuryan khatam ho jaen gi.
garmiyon men chehre ki chiknai khatam karne ke liye thorhe se besan men limo ka ras mila kar mask bana len.aur makeup se 15 mint pehle laga len.phir arqe gulab se dho kar makeup karen is tarah makeup der tak qaim rahega.
naak se siyah kilon ki safai ke liye kisi bhi cold cream se massag karen phir ise roi se saaf kar len ab limo ke ras daar chilke ko naak par halke halke ragrhen or keelon ko daba kar nikal len.
agar rang kala ho to 2 tab sp besan men 1 tea sp haldi or thorha sa limo ka ras mila kar mask banalen.aur chehre par lagaen 10 se 15 mint baad dho len.
Related