Jumma namaz rakat aur juma ki fazilat

Jumma namaz rakat aur juma ki fazilat

jumma ki fazilat jumma ke din ki fazilat

Jumma ki Namaz ki fazilat:

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke jo shakhs Jumma ke din ghusal karta hai aur jis qadar mumkin ho, pakisgi hasil karta hai, aur apne tel mai se tel lagata hai, ya apne ghar ki khushboo mai se khusbu lagata hai, phir (namaz ke liye is tarha) nikle ke do aadmiyon ke darmiyan nahi ghuse, aur jitna is ke maqdar mai hai namaz parh le, aur jab imam khutba parhe to khamoosh rahe, to is jumma se le kar doosre jumma tak ke gunah bakhsh diye jate hain.

Jumma ki Namaz mai kitni rakat hoti hain?

Sab se pehle ye jaan len ke Jumma ki namaz mai total 14 rakaat hoti hain jo mundarja zel hain.

04 SUNNAT

02 FARAZ

04 SUNNAT

02 SUNNAT (GAIR MUAKDA)

02 NAWAFIL

 Next Fazeelat:

Darood Taj aur is ko parhne ke fazail

Leave a Comment