Istikhara Karne ka Sahi Tarika in Urdu

Urdutotke provides you method of istikhara in Urdu and Roman Hindi.

istikhara karne ka sahi tarika in urdu
Method of istikhara:

Aey ALLAH PAAK ke pyare bandon istikhara ka matlab sirf ALLAH PAAK ki raza mandi lena hi nahi he balke apne aap ko ALLAH PAAK ke supurd kar ke ALLAH PAAK ki raza men raazi hona bhi he.

Jab bhi aap ko koi mushkil ya pareshani ho jiski wajah se aap ko samajh men nahi araha ho ke ab aage kiya karna chahye to aap ko sirf itna karna he ke 2 RAKA’AT NAMAZ NAFIL-E-HAJAT ki neyat baandh kar parhni he.aur phir is NAMAZ ke baad opar di gai dua DUA E HAJAT parhni he aur uske baad awal-o-akhir 3-3 baar ya 11-11 baar DUROOD-E-PAAK  ka nazrana HUZOOR-E-PAAK S.A.W.W ke huzoor pohnchana he.aur is DUROOD-E-PAAK ke darmiyan aapko apne dil ka sara haal PARWARDIGAAR ko sunana he.

Beshak hamara PARWARDIGAAR hamare haal se baa khabar he.magar phir bhi aap ko apne dil ki jo sulajh nahi pa rahi ho wo apne RABB-UL-IZZAT ki BAARGAH men keh sunaeyn aur apne PARWARDIGAAR se ye iltija karen ke aey mere MAALIK AAP barhe GAFOOR-UR-RAHEEM hen.aur AAP hi hamari har mushkil har pareshani hal karne wale hen.

Hum AAP se nahi to kis se maange?AAP ke dar ke siwa kahan jaeyn mere MAULA.bas ab mene apni har pareshani har mushkil ko AAPKE supurd kiya.beshak AAP hamare haq men behtar se behetreen faisla karne wale hen.aameen summa aameen.

Bas aap ko sirf itna sa ye amal karna he aur apni qismat aazmani he.INSHAH ALLAH TA’ALA ye meri apni aazmai hui baat he ke is amal ke baad aap kabhi maayoos nahi hon ge.

Leave a Comment