How To Do Skin or Face Polish at Home in urdu and hindi

How To Do Skin or Face Polish at Home in urdu and hindi

How To Do Skin or Face Polish at Home in urdu and hindi How To Do Skin or Face Polish at Home in urdu and hindi 3

Face Polishing Home Remedies in Urdu and Hindi:

Ahiya :

Skin Shiner —– Ek Chamach
Soothing Lotion —– Ek Chamach
Bleach Powder Mild —– Ek Khane ka chamach
Oxidizing Emulsion —– Do khane kay chamche
Khushk Doodh —– Nisf Chae ka chamcha
Talcum powder —– Nisf chae ka chamcha
Roghan badam Roghan til ya coconut oil —– 2 ya 3 qatren

Tariqa Istemal :

Cleansing milk ko cotton ki madad se chehre par laga kar chehre ki safai karen.Multi action cleanser se 5 minute tak geele hathon se gardan aur chehre par masaaj karen. aur 5 minute kay liye chorden. aur facial spunch se saaf karlen. Aameza kisi dhati piyale mai banaen aur plastic ka chamcha istemal karen phir brush kay sath gardan se shuru kar kay oopri rukh par tamam chehre par lagaen ye aameza 15 se 20 tak chehre par laga rehne den phir facial spunch se saaf karlen. 2 chae kay chamche mud mask aur 3 khane kay chamche arq-e-gulab achi tarha mila len. Is aameza ko chehre par lagaen aur khushk hone par thande pani se dho len. Chehre ko thapak kar khushk karlen.

Chikni jild kay strungent aur normal jild kay liye skin tonic cotton se chehre par lagaen. Aakhir mai vitamin E cream ungliyon ki madad se chehre par lagaen. Face polishing mahine mai ek baar zaroor karni chahiye.

 

Skin Whitening Facial With Facial Products In Urdu,
skin polish karne ka tariqa urdu aur hindi mai

Next Article :

Amla benefits and uses in urdu and hindi

 

Leave a Comment