Hath Paon Sun Kiyon Hote Hen Inka Elaj in Urdu

Urdutotke provides you best advice for numb hands and legs in Urdu and Roman Hindi.

hath paon sun kiyon hote hen inka elaj
Hathon aur peron ke sun hone ki wajuhat aur gharelu elaj:
  1. Hath aur peron ka sun hojana theek nahi he.baaz aoqaat bethe bethe paon sun hojate hen.kabhi ek karwat pe letne se hath sun hojata he.hath peron ka sun hona khoon ki kami ki wajah se bhi hota he.
  2. Ya phir khoon ki naalyon par dabao parhne ki bhi wajah se hota he.baaz auqat ye kefyat kisi bimari jese sugar ki wajah se bhi hoti he.sun hone ki kefyat aisi hoti he jese hath peron men sansanahat hoti he aur suiyaan si chubhti hen.aise men hath peron ki salahyat ka kam hona khatre ka ba’as banta he.
  3. Bagher doctors ke masware ke zara zara si baat par dawaiyan khana bhi achi baat nahi he.ye bimari vitamin B-12 ki kami se bhi hota he.ghizaon ki madad se vitamin B-12 ki kami ko khatam karen.
  4. Exercise kiya karen.walk kiya karen.taza fruits juice ka istemal karen.pani zyada se zyada piyen.khoon banane wali ghiza aur fruits ka istemal karen.nahane ke baad hathon aur peron men tel zarur laga liya karen.
  5. 5achon waqt namaz ki pabandi karen.INSHAH ALLAH sab kuch theek ho jaey ga.hath paon sun hone ka arsa zyada der tak rehne lage doctor se foran ruju karen kiyon ke paralysis hone ka bhi khatra hota he.aapki body aur aapki zindagi he.aap jese chahen iski care karen.

Leave a Comment