Fikar aur Pareshani ke waqt ki dua

Fikar aur Pareshani ke waqt ki dua

Fikar aur Pareshani ke waqt ki dua 2Pareshani door karne ki dua urdu islamic dua: Pareshani door karne ki dua urdu islamic dua:

Hazrat Abdullah bin Abbas R.A se riwayat hai ke Rasool Peace Be Upon Him jab koi pareshani la haq hoti to Zubaan Mubarak se ye kalimat jari hojate.

Dua ap image mai parh sakte hain jis ka tarjuma mundarja zel hai.

Tarjuma: “Allah ke siwa koi maalik o maabud nahi wo bari azmat wala aur haleem hai, koi maalik o maabud nahi Allah ke siwa wo Rab hai arshenazeem ka koi maalik o maabud nahi Allah ke siwa wo asmano, zameen aur arsh alkareem ka malik o parwirdigar hai.”

Isi maqsad ke liye mundarja zel masnoon duain hain.

Pehli dua ap image mai dekh sakte hain jis ka tarjuma ye hai.

“Aye Zinda jawed aye sada qaim rehne wale! mai teri rehmat se madad chahta hoon.”

Doosri dua ap image mai dekh sakte hain jis ka tarjuma ye hai.

“Aye Allah! tere siwa koi maabood nahi tu pak hai. Beshak mai hi zalim aur gunehgar hoon”

Teesri dua ap image mai dekh sakte hain jis ka tarjuma mundarja zel hain.

“Hum ko Allah kafi hai aur wahi sab kam superd karne kay liye acha hai.”

masnoon duain,
islamic dua,
qurani duain,
dua islam

Leave a Comment