Eye care tips and weakness treatment in urdu

Eye care tips and weakness treatment in urdu

eye weakness treatment in urdu

homemade beauty tips for eyes

beautiful eyes tips in urdu beauty tips for shining eyes in urdu

 

Ankhon ko khubsurat banane ke tips:

Ankhen insan ki wo juz hai jo insan ki khubsoorti mai 4 chand laga deti hai. to is ki hifazat karna bhi hamara farz hai, kiun ke ye bhi Allah ki nemat hai aur Allah ki har naimat ki qadar karna chahiye warna insan naimat se mehroom hojata hai. Sab se pehle baat karte hain ankhon ki hifazat kese ki jae.

Jab bhi bike ya cycle chalaen to glasses zaroor pehne. Din mai 3 ya 4 bar Arq e Gulab ka istemal zaroor karen, jab bhi bahar se aen to ankhon mai pani daalen. Ab baat karte hain jin ki ankhen be ronaq aur kamzor hai inhen phir se pur ronaq kese banaya jae. Is ke liye ap har roz ek glass doodh ka istemal karen. Gaajar jitna kha sakte hain utna hi khaen. Machli hafte mai ek bar istemal karen.

Is amal se apki ankhen kabhi bhi kamzor nahi hongi aur jinki hain wo ahista ahista theek hojaegi. Is ke ilawa kishmish , badam , kali mirch aur pista ko piswalen aur roz ek chamach sote hue istemal karen. Is nuskhe se ek mahine mai ap apni ankhen pur ronaq aur pehle se zyada tez mehsoos karenge.

Next Article: Teeth problems and care in urdu

Leave a Comment