Essay on Quran-e-Majeed in Urdu

Essay on Quran-e-Majeed in Urdu

quran ki ehmiyat

Quran Majeed ki Tilawat Ahmiyat aur Fazilat in urdu:

Quran Kareem ke fazail

Quran ki tilawat

Quran kareem rohani aur jismani dono qismo ki bimariyon ke liye shifa hai aur khud janab Nabi kareem peace be upon him ne mushkilat, bimariyon aur aafat mai Quran kareem ke zariye ilaj ki talqeen farmai hai. Quran Pak ke samne koi baatil nahi theher sakta. Zaalimon ki taqat, jaabro ki tadbeeren aur dushmanon ki saazishen Quran Pak ke samne bulbulay se zyada kamzor hain. Quran majeed ka noor badkhuwahon ki ankhon ko be noor kardeta hai. Hum ne Quran e Pak ke samne baar ha taqatwar dushmanon ko khaaib o khaasir hote dekha. Africa ka kala jadu Qurani Ayat ke samne hum ne khud toot’te , bikharte aur bhagte dekha.

Essay on Quran-e-Majeed in Urdu 1

Hindustan ke jogi, pandit aur saadhu is kalam ke samne be bas hogae aur barhaman pukar uthe ke ye bohot Aala kalam hai. hum is ka muqabla nahi karsakte. Magar aj kai musalman Quran e Pak ko chor kar napak sifli uloom ka sahara lete hain. Quran pak apni poori quwat , shifa, shan aur taaseer ke saath mojood hai. Magar musalman jaahil aur lalchi aalimo ke dar par apna iman , aqeeda aur maal tabah kar rahe hain. Aao musalmano! Quran pak ki taraf lot ao. Ye sachi pukhta aur mazboot kitab hum sab ke liye rehmat bhi hai aur shifa bhi. Dekho rab ta’ala khud farmarha hai.quran ki fazilat o barkat in urdu

Ummar ke ehle ilm mai shifa bil quran ka hamesha maamool raha hai. Is ki barkat aur afadiyat se kisi musalman ko inkar nahi ho sakta. Aj ke dor mai jab ke amliyat mai kale ilm aur bohot si doosri khirafat ka riwaj barhta jarha hai aur is par fitan dor ke andar Quran Kareem aur Nabi (Peace Be Upon Him) ke irshadat aur farmoodat ke zariye ilaj ko farogh dena aur ayat qurani se aam logon ko mushkilat aur bimariyon asani mohia karne ka zimma uthaya hai aur ilaj karne wale saahib ilm hone ke saath saath sahib e faiz bhi hain.

 

Leave a Comment