elaj-e-azam ya raqeebo benefits in urdu

elaj-e-azam ya raqeebo benefits in urdu 1

elaj-e-azam ya raqeebo benefits in urdu

elaj-e-azam ya raqeebo benefits in urdu
                                                                         ya raqeebo
                                                                         isme azam
                                                                  isme azam in quran
                                                                     isme azam dua
                                                               ism e azam its benefits
                                                                    isme azam allah.

asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.

“YA RAQEEBO (BARHA NIGEHBAAN,NIGRANI KARNE WALA,MUHAFIZ,WO JO APNI MAKHLOOQ KI NIGRANI KARTA HE AUR HAR FAL IS KI QABZA-E-QUDRAT MEN HE)”.

is ism YA RAQEEBO ka wird karne se maal-o-ayal mehfooz rehte hen.

jo shakhs apne ahl-o-ayal par ye ism YA RAQEEBO 7 baar parh kar dam kare ga to ALLAH TA’ALA inko apni hifazat men rakhe ga.

jo koi phorhe aur phansi par YA RAQEEBO 3 baar parh kar phoonk de INSHAH ALLAH shifa hasil hogi.

jo koi apna maal-o-asbaab kahin chorhte waqt us par YA RAQEEBO parh le to INSHAH ALLAH hifazat rahe gi.

jo koi is ism YA RAQEEBO ko 7 baar ya 70 baar parh kar apni bivi-o-farzand ya maal par parh kar dam kare jinnaat aur tamam dushmanon aur afaton se INSHAH ALLAH mehfooz rahe ga aur iska rob bhi barh jaey ga.

agar kisi ki koi cheez gum ho gai ho to YA RAQEEBO ka bakasrat wird karne se INSHAH ALLAH wapis mil jati he.

agar isqaat-e-hamal ka khatra ho to haamla aurat par ye ism YA RAQEEBO 7 baar parhna mufeed he.

safar men jate waqt apne ahl-o-ayal men se jis par koi khatra ya fikar ho is ki gardan par hath rakh kar 7 barr YA RAQEEBO parhe INSHAH ALLAH wo maamoon rahe ga.

Leave a Comment