elaj-e-azam ya qahharo benefits in urdu

elaj-e-azam ya qahharo benefits in urdu 1

elaj-e-azam ya qahharo benefits in urdu

elaj-e-azam ya qahharo benefits in urdu
                                                                         ya qahhar
                                                                        isme azam
                                                                 isme azam in quran
                                                                    isme azam dua
                                                              ism e azam its benefits
                                                                   isme azam allah.

asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.

“YA QAHHARO (AEY SAB KO APNE QAABU MEN RAKHNE WALA,APNI MAKHLOOQ PAR KAAMIL GHALBA AUR IKHTEYAR RAKHNE WALA,WO JO BARTARI RAKHTA HE AUR QUDRAT RAKHTA HE HAR KAAM KARNE KI JO WO CHAHTA HE)”.

kasrat se YA QAHHARO ka wird karne se dunya ki mohabbt aur maa siwa ILLA ALLAH KI AZMAT dil se jaati he.aur dushmanon par ghalba hoga.

jo koi kisi zaalim se darta ho wo shakhs is ism YA QAHHARO ko har farz namaz ke baad 306 baar parha kare.ALLAH TA’ALA ise apne amno amaan men rakhe ga aur dushman par ghalib hoga.haakim meherbaan hoga aur khauf dil se jata rahe ga.

jo kisi mushkil ke waste is ism YA QAHHARO ko 100 baar parhe mushkil asan hogi.

jis shakhs ki koi haajat ho wo apne ghar ya masjid men sar nanga kar ke hath utha kar 100 baar YA QAHHARO kahe INSHAH ALLAH is ki haajat poori hogi.

jo ishraaq ki namaz ke baad sajda kar ke 7 baar YA QAHHARO parhe ga ALLAH TA’ALA isko ghani farma de ga.

dushman ko maghloob karne ke liye is ism YA QAHHARO ka farz-o-sunnat ke darmiyan 100 baar parhna boht mufeed he.

wo shakhs jo YA QAHHARO ka wird karta he isko apni jumla-e-khuahishon par qaabu haasil ho jata he aur hawas,jah-o-jalal se azad ho roohani sukoon haasil kar leta he.aur YA QAHHARO ka wird insan ko ghalat kaariyon se bhi baaz rakhta he. 

Leave a Comment