elaj-e-azam ya muqeeto benefits in urdu
ya muqeeto
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA MUQEETO (SAB KO ROZI DENE WALA AUR TAWANAI DENE WALA)”.
jo har roz 7 baar YA MUQEETO parh kar pani par dam kar ke piye ga INSHAH ALLAH gheb se rozi paey ga kabhi bhooka nahi soey ga.
agar roze dar ko halakat ka khof ho to 100 baar YA MUQEETO parh kar phool par dam kar ke ise soonghe INSHAH ALLAH quwat paey ga.aur har roza rakh sake ga.
jis ki aankh surkh ho aur wo dard karti ho to ye ism YA MUQEETO ko parh kar dam kare.
agar bache ki adat-o-atwar kharab ho jaen aise bache ko ye ism YA MUQEETO 1 glass pani men dam kar ke pilaya jaey to bache ki adat-o-atwar durust ho jaengi.
agar khali aabkhoore men 7 baar ye ism YA MUQEETO parh kar is men dam kare aur khud pani piye ya kisi doosre ko pilaey to INSHAH ALLAH maqsad hasil hoga.ye amal safar men aman ke liye bhi mufeed he.khas tor par jab is ism ke sath SURAH-E-QURESH ko mila kar subha shaam parhi jaey.
Related