elaj-e-azam ya malik-ul-mulk benefits in urdu
ya malik-ul-mulk
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“ya malik-ul-mulk (mulkon ke malik,kainat par jiski hukumat lazawal he)”.
jo shakhs is ism YA MALIKO ko hamesh parhta rahe ga ALLAH TA’ALA isko ghani aur logon se be neyaz farma dega aur wo kisi ka mohtaj na rahe ga.
jo badshah kisi mulk ko fatah karna chahta ho wo is ism YA MALIKO ko boht parhe INSHAH ALLAH kamyab hoga.
jo badshah apni hukumat ka istehkam chahta ho wo is ism YA MALIKO ko kasrat se parhe.
jo shakhs is ism YA MALIKO ka wird kare ga wo dosron ki nazron men moaziz-o-qabil-e-ahetram ho jaey ga.
jo MALIK-UL-MULK YA ZULJAL-E-IKRAM boht parhe ga agar wo faqeer hoga to ghani ho jaey ga.mukarya ism kamal jamal rakhta he.
Related