elaj-e-azam ya jamiu benefits in urdu
ya jamiu
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA JAAMIU (JAMA KARNE WALA,WO JO HAR SHE KO KISI BHI JAGAH JAB CHAHE JAMA KAR SAKTA HE)”.
apne bichrhe hue arqab se milne ke liye is ism YA JAMIU ko 114 baar khule asman ke neeche parhna mufeed he.
jo shakhs is ism YA JAMIU ka wird rakhe ga wo is shai ko paa jaey ga.
jis shakhs ke rishtedaar aur ahbaab muntashir ho gaey hon wo chaasht ke waqt ghusul kare aur aasman ki taraf moo kar ke 10 martaba YA JAMIU parhe aur ungli band kar ke is tarah har 10 martaba 1,1 ungli band karta jaey jab saari ungliyan band ho jaeyn to akhir men dono hath moo par phere INSHAH ALLAH jald sab jama ho jaenge.
Related