ya aleemu
isme azam
isme azam in quran
isme azam dua
ism e azam its benefits
isme azam allah.
asma-e-husna BAARI TA’ALA ke jitne hen in ke khuas agar aap zaban urdu men tarjuma kar dijiye to aghlab he ke khawas-o-awam is ke faide se mehroom na rahen is elaje azam se faida uthane walon se ye guzarish he ke ye aajiz bhi umeed-e-qavi rakhta he ke qaareen is kamtareen ko dua-e-kher se yaad farfaen.janna chahye ke tamam asma-e-husna ki ek barhi khasyat hadees shareef ki ru se ye he ke jo shakhs inko parha kare daakhil-e-jannat ho.
“YA ALEEMU (HAR CHEEZ KA JAANNE WAL,JO HAR SHE KA ILM RAKHTA HE)”.
jo istakhara karna chahe shab-e-jumma ko namaz ke baad YA ALEEMU 100 baar masjid men ye ism-e-mubaarak parh kar so jaey.matlooba haal se agahi paey ga.
jo har namaz ke baad 100 baar (YA AALIM-UL-GHEBU WASHAHDATI) ko maamool banaey ga INSHAH ALLAH saahib-e-kashaf hoga.
jo koi is ism YA ALEEMU ko dil men parhe saahib-e-maarfat ho jaey.aur agar farz namaz ke baad 150 baar parhe ga saahib-e-yaqeen ho jaey ga.
jo kasrat se YA ALEEMU ka wird kare ga ALLAH TA’ALA is par INSHAH ALLAH ilm-o-maarfat ke darwaze khol dega aur jo ALLAH TA’ALA se maange ga jald mile ga.aur haafza qavi hoga.