Eidul Fitr ke Ahkam wa Masail

Eidul Fitr ke Ahkam wa Masail

eid ke ehkam

Eid ul Fitr kay Ahkamat:

1 – Eid ul Fitr ki shab mai zyada ibadat karna musteheb hai aur din roza rakhna haram hai.

2 – Eid ul Fitr ke din namaz ki 2 rakaton ka bator shukria ke ada karna wajib hai.

3 – Agar eid jumma ke din ho to jumma aur eid ki namaz dono parhai jaengi.

4 – Jumma ki namaz ke sahi aur wajib hone ke liye jo sharten fiqa hanfi ki kitabon mai likhi hain wahi sab sharten eid ul fitr ki namaz ke liye zaroori hain. Albatta namaz jumma se pehle to khutba parhna farz aur shart hai aur eid ki namaz ke baad khutba sunnat hai lekin is khutba ka sunna jumma ke khutba ki tarha wajib hai. Khutba ke waqt kalam wagera sab haram hai.

Leave a Comment